Page

Wednesday 4 February 2015

Khudgarzo ka bazaar

Shehar ki tang galiyo se guzarte mein ne
jub ek naya sa bazaar dekha
bhara hua yun logo se mano koi khel tamasha ho
rangeen sa, apne hone par ithlata hua wo befikar laga
paas jane ko aatur kadam fir badhe usi ki raunak ko
dekhu to mein bhi ja ke to jis jagah sub he chal pade

roshni ki tez dhaar k beech
kuch chehre jaane pehchane se lage
roku jub tak kisi apne ko bheed mein ghum ho wo chale
rukne ki manahi jaise, sub chale hai apni dhun mein he
bawli si mein he dekh rhi hu un aate jate chehron ko
ye kaisa manjar hai jiska na koi or na chor hai
na koi kuch kahe yaha, na he koi kisi ki sunta hai
mol bhaav to yaha bhi hai dikhta
par na jane kon kharid-daar, kis cheez ka hai sauda
thokar se aage aa kar, dekha tumhe bhi mashroof wahin
hairani hui kuch aur kuch khushi mehsoos bhi ki
par ye kya, tum bhi andekha ansuna kar nikal gye
koshish karti tumhe pane ki chali ja rahi mein bhi

ab jub tum nazar ki seema ke paar ho
to thake kadam mera bojh utaye vapas chalne ko hai
tumse krne ki shikayato ki suchi ko rachte-rachte
laut chali mein apne ghar ko vapas usi raah
kautuhal to ab bhi tha ki ho kar kis gali aayi mein
bahar aakar jub dekha to "Khudgarzo ka Bazaar" wo tha



2 comments:

  1. Loved you poems. Totally inspired by it. I would really appreciate if you could write something about current India's situation unemployment and slow economic growth

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks for dropping by. Will keep your suggestion in mind. However, i do write the simple things happening around me & family.

      Delete